Haa Yahi Khuda Hai!!

Aaj woh phir aa gaya sabki jaan bachane
Khud ki jaan ki parwah na karke dosro ki sewa Mai laga hai
Khud apne pariwar se durr betha hai
Par dusro ko jald se jald apne pariwar tak pohchana chahta hai
Haan woh ek masiha hai

Aaj mandir mazhid bhi band ho gaye
Aaj saari duayeh nakamiyab ho gayi
Aaj bas ek se hi umeed hai aur usi ne haar nahi maani
Haan woh Kudrat ka Farishta hai

Aaj usne firse hamara ilaaj karte karte apni jaan gawai
Hame bachane k liye woh khud khuda ke paas chala gaya
Bachane ki Khushi mai kaafi aansu bhi bahaye
And naa bachane ke dukh Mai waha ro bhi pada
Haan yahi woh maa ka dulara hai

Naa maro use chappal se
Naa thuko uspe
Bhagwan bhi haarke baith gaye bas usi ne haar nahi maani
Wahi hai jo gareebo ka illaj muft mai kar raha hai
Wahi hai jo ameeron mai or gareebon mai aaj koi fark nahi kar Raha hai
Haan Yahi woh Masiha hai
Haa yahi Khuda hai !!



Dedicated to all the doctors around the world who is working for us
Thank You!!



Comments

Popular posts from this blog

ARUNIMA SINHA: INSPIRATION OF TODAY'S YOUTH

Aa vamal ma fasaya- Gujarati Poem

AGLE JANAM MUJHE INSAAN NA BANANA