MAA


Maa lafz jitna chota, Maaine utne hi bade.
Beshaq tu mujhe chod chali gayi, 
Par tera ehsaas abhi bhi hai.
Tu pass nahi par,
Teri aahat abhi bhi hai.

Tujhe pata hai tere Bina ro ro k kya haal ho Gaya hai mera?
Papa hai Bhai bhi hai par Teri Kami hamesha khatakti hai.
Tune mujhse vada kiya tha k tu hamesha mere sath rahegi,
Par Aaj mujhe lagta hai tu apna kiya hua vada bhul gayi.

Chahe Kitna bhi Mann ko behla lu
Par tere bina Zindagi tham si gayi hai.
Haan Haan pata hai mujhe, mere sapno mai hi sahi, tu mere sath hai,
Par fir bhi ek ghabrahat si hai ki tu firse durr na ho jaaye.

Tujhe pata hai yeah duniya kitni zalim hai?
Har waqt shaq karti rehti hai, k tu Nahi hai toh,
Teri beti Kahi buri aadato ka shikar na ho gayi ho.
Ab duniya ko kon samjhaye k hum dono k beech mai ek secret hai.

Mai chahe Kitna bhi nazarandas kar lu inn duniya walon ko,
Par kabhi kabhi unki baatein khatakti zaroor hai.

Mujhe har pal yeah ehsaas hota hai kaash bhagwan ne
Teri jagah mujhe unke pass bula liya hota,
Kam se kam upar bethkar Mai Teri hasi toh dekh pati.

Jab yahan thi teri baaton ki aadat si pad chuki thi,
Ab tera ek shabd sunne ko kaan taras rahe hai.
Pehle teri muskurahat se mere din ki shurvat hoti thi,
Par ab teri ek muskurahat dekhne k liye aakhe taras gayi hai.

Ab toh mujhe koi yeah tak nahi puchta khana khaya ki nahi,
Naa hi bukhar aane par koi sir pe hath rakhta hai.
Pehle meri marne ki baat se tera ek chata padta tha,
Par ab mai jiyu yaa maru kisi ko koi farq Nahi padta.

Iss janam mai toh Nahi par dua karti hu 
agle janam hum zyada se zyada waqt bitaye.
Meri bas yahi dua hai, tu jahan bhi ho thik ho.

Mera kya hai kaat lege yeah zindagi tujhse Milne k intazar mai.

Comments

  1. Love your words... Touch the heart..

    ReplyDelete
  2. It was simple yet so soulful... Because you've poured your whole heart into it. I'm sure aunty is proud of you Hely... And so am I!!

    ReplyDelete
    Replies
    1. I totally agree with you!
      Though the words were simple but they were very touchy, I could feel the way you might be feeling everyday without your mom! Very beautifully written. Made me emotional!

      Delete
    2. A mother's Love is Instinctual,Unconditional &Forever .... U wrote Beautifully & Express well

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

ARUNIMA SINHA: INSPIRATION OF TODAY'S YOUTH

Aa vamal ma fasaya- Gujarati Poem

AGLE JANAM MUJHE INSAAN NA BANANA