MERI MAA


Meri maa ka bayan main kin lafzon Mai karu

Nau mahine apne kokh mai palkar iss khubsurat si duniya mai janam diya woh hai meri maa

Khud se zyaada mujhe pyar diya woh hai meri maa

Raat ko mujhe sula k sona or subah mujhse pehle uthna fir bhi pure din ek bhi shikayat na ki woh hai meri maa

Uski madhur aawaz mai Lori gaakar sulayaa or subah uski paayal ki chankar se uthaya woh hai meri maa

Khud bimar hokar bhi khud se zyada mera khayal rakha woh hai meri maa

Dopahar ko khud na kha ke apni jhali si beti ko school mai bhagi bhagi Tiffin box dene aayi iss Soch mai ki kahin mai bhukhi na reh jaau woh hai meri maa

Homework na karne par teacher ki daat khane se le kar saare ilzaam khud par liye woh hai meri maa

Zara sa bhi late hone par phone pe Kahan ho Thik toh ho inn sawalon ko  Baar Baar call karke dohraya woh hai meri maa

Papa ki daat se bachana ho yaa Bhai k taano se Jo har Baar meri dhaal banke khadi rahi woh hai meri maa

Meri har shararaton ko zhela  meri har galti ho nazar andaaz kiya or muskurakar ek pyari si jhapki di woh hai meri maa

Jisne har kadam par hosla Diya or Kabhi dagmagane Nahi Diya woh hai meri maa

Bekar hi log kehte hai ki yeah mushkil hai woh mushkil hai
Aree janab Kabhi apni maa ki ore 1 Baar dekh lo saari mushkil cheeze aasan lagne lagegi

Comments

  1. Hely.... I'm deeiseyou grow as a writer... Which is so special for me. The best thing about your poems are ... Simplicity and reality. TheyreT so simple yet so real.... However there's always a eoom for improvement.
    I want you to explore more topics.... More emotions... More words... N more n more style of expressions to write up... To pen your thoughts.... So far... YouveY touched my heart sna made me cry not once but so msny times... With one of your poems on mother..... But now .... Do more of it... On much varied topics ...

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

ARUNIMA SINHA: INSPIRATION OF TODAY'S YOUTH

Aa vamal ma fasaya- Gujarati Poem

AGLE JANAM MUJHE INSAAN NA BANANA