AGLE JANAM MUJHE INSAAN NA BANANA

Ya khuda! Agle janam mujhe insaan naa banana
Meri galti kya thi?
Iss mulk mai janm lena yeah meri galti thi yaa bataur insaan maine janm lena yeah meri galti thi?

Ya khuda! Agle janam mujhe insaan naa banana
Main toh yahan aaya tha yeah soch ke ki iss khubsurat se ajoobe ko dekhuga
Par janm lete hi mujhe kuch Aisa dikha Diya ki aur kuch dekhne ki himmat hi nahi rahi

Ya khuda! Agle janam mujhe insaan naa banana
Janm lete hi Maine sapne sajone shuru Kar diye..
Par kuch insaan ne mere saare sapne hi cheen liye

Ya khuda! Agle janam mujhe insaan naa banana
Maine pata nahi kya kya suna tha iss khubsurat si dharti ke baare mai
Par Aaj meri saari galat family Durr ho gayi

Ya khuda! Agle janam mujhe insaan naa banana
Din dhalte hi bomb dhamake,din dhalte hi afra-tafri, barbaad insani bastiya
Har gali ,har raste ki manjil maano asptal hi.

Ye khuda!
Agle janan mujhe insaan na banana..
Janam bhi maut ke sayeme..
Bachapan bhi maut ke saaye me
Aaye din aasmaan se barasati maut
Aaye din aasmam se girti barbadi k bomb
Ya khuda! Agle janam mujhe insaan naa banana

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

ARUNIMA SINHA: INSPIRATION OF TODAY'S YOUTH

Aa vamal ma fasaya- Gujarati Poem