Posts

Showing posts from April, 2020

Aaj Ka Din

Beshaq aaj behad khubsurat din hai Aaj hum woh kar paa rahe hai woh zindagi jee paa rahe hai Jiske hum kabhi khwab dekha karte the Thoda sa ghar se kaam thoda sa ghar ka kaam Sab ek dusre ka hath bata rahe hai Aaj ka din behad khubsurat din hai Aaj chidya ki chehek sunai de rahi hai jaise kabhi bachpan mai suna karte the Dada dadi k sath kuch Lamhe bitane mil rahe hai Papa ki daat kha rahe hai wahi Maa ke ladle bann rahe hai Maano bachpan ke din wapis aa gaye hai Aaj meri dharti Maa bhi khulke saans le Rahi hai Aaj ke din mai bachpan ki mehek hai Kuch purani hobbies ko firse dohra rahe hai Wahin kuch naya bhi sikh rahe hai Wahi aangan ke jhule pe bethkar purani yaadon ko yaad kar rahe hai Aaj ke din mai muskurahat hai Kabhi naa socha tha Doordarshan bhi kabhi TRP chart top karega Kabhi naa socha tha hamesha chikhne chillane wali sadke bhi kabhi chup ho jaayegi Charo taraf hariyali hi hariyali hogi Ek dusre se durr hokar bhi log ek dusre ke kareeb aayege Aaj kuch

Haa Yahi Khuda Hai!!

Aaj woh phir aa gaya sabki jaan bachane Khud ki jaan ki parwah na karke dosro ki sewa Mai laga hai Khud apne pariwar se durr betha hai Par dusro ko jald se jald apne pariwar tak pohchana chahta hai Haan woh ek masiha hai Aaj mandir mazhid bhi band ho gaye Aaj saari duayeh nakamiyab ho gayi Aaj bas ek se hi umeed hai aur usi ne haar nahi maani Haan woh Kudrat ka Farishta hai Aaj usne firse hamara ilaaj karte karte apni jaan gawai Hame bachane k liye woh khud khuda ke paas chala gaya Bachane ki Khushi mai kaafi aansu bhi bahaye And naa bachane ke dukh Mai waha ro bhi pada Haan yahi woh maa ka dulara hai Naa maro use chappal se Naa thuko uspe Bhagwan bhi haarke baith gaye bas usi ne haar nahi maani Wahi hai jo gareebo ka illaj muft mai kar raha hai Wahi hai jo ameeron mai or gareebon mai aaj koi fark nahi kar Raha hai Haan Yahi woh Masiha hai Haa yahi Khuda hai !! Dedicated to all the doctors around the world who is working for us Thank You!!