Posts

Showing posts from May, 2018

MERI MAA

Image
Meri maa ka bayan main kin lafzon Mai karu Nau mahine apne kokh mai palkar iss khubsurat si duniya mai janam diya woh hai meri maa Khud se zyaada mujhe pyar diya woh hai meri maa Raat ko mujhe sula k sona or subah mujhse pehle uthna fir bhi pure din ek bhi shikayat na ki woh hai meri maa Uski madhur aawaz mai Lori gaakar sulayaa or subah uski paayal ki chankar se uthaya woh hai meri maa Khud bimar hokar bhi khud se zyada mera khayal rakha woh hai meri maa Dopahar ko khud na kha ke apni jhali si beti ko school mai bhagi bhagi Tiffin box dene aayi iss Soch mai ki kahin mai bhukhi na reh jaau woh hai meri maa Homework na karne par teacher ki daat khane se le kar saare ilzaam khud par liye woh hai meri maa Zara sa bhi late hone par phone pe Kahan ho Thik toh ho inn sawalon ko  Baar Baar call karke dohraya woh hai meri maa Papa ki daat se bachana ho yaa Bhai k taano se Jo har Baar meri dhaal banke khadi rahi woh hai meri maa Meri har shararaton ko zhela  meri har ga